BANJARA LYRICS -Jaise Banjare Ko Ghar- Ek Villain Song by Md Irfaan

jaise banjare ko ghar
jaise banjare ko ghar

Banjara Lyrics from Ek Villain:

Song Title: Banjaara
Movie: Ek Villain (2014)
Lyrics / Composer: Mithoon
Singer: Mohd. Irfan
Video Picturised on: Sidharth Malhotra, Shraddha Kapoor
Music Label: T-Series

Banjaara Lyrics

Jise zindagi dhoondh rahi hai
Kya ye woh makaam mera hai
Yahaan chain se bas ruk jaaun
Kyun dil ye mujhe kehta hai
Jazbaat naye se mile hain
Jaane kya asar ye huaa hai
Ik aas mili phir mujhko
Jo qubool kisi ne kiya hai

Haan..
Kisi shaayar ki ghazal
Jo de rooh ko sukoon ke pal
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Hmm…

Jaise koi kinaara
Deta ho sahaara
Mujhe wo mila kisi mod par
Koi raat ka taara
Karta ho ujaala
Waise hi roshan kare woh shehar

Dard mere woh bhula hi gayaa
Kuch aisa asar huaa
Jeena mujhe phir se woh sikha raha
Hmm.. Jaise baarish kar de tar
Yaa marham dard par
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjaare ko ghar

Muskaata yeh chehra
Deta hai jo pehraa
Jaane chhupata kya dil ka samandar
Auron ko toh hardam saaya deta hai
Woh dhoop mein hai khada khud magar
Chot lagi hai usey,
Phir kyun mehsoos mujhe ho raha hai
Dil tu bata de kya hai iraada tera

Main parinda besabar
Tha uda jo darbadar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjarey ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjarey ko ghar

Koi mujhko yun mila hai
Jaise banjare ko ghar
Jaise banjare ko ghar..
Jaise banjare ko ghar…
Jaise banjare ko ghar….

Tu Har Lamha Lyrics – Khamoshiyan by Arijit Singh

Tu har lamha
Tu har lamha

Arijit Singh’s Tu Har Lamha Lyrics from Khamoshiyan:

Singer: Arijit Singh
Music: Bobby-Imran
Lyrics: Sayeed Quadri
Music On: Sony Music India

Tu Har Lamha Lyrics

Waaqif toh huey tere dil ki baat se
Chhupaya jise tune qaaynaat se
Waaqif toh huey tere uss khayal se
Chhupaya jise tune apne aap se
Kahin na kahin teri aankhein,
teri baatein padh rahe hain hum
Kahin na kahin tere dil mein,
dhadkano mein dhal rahe hain hum
Tu Har Lamha.. tha mujhse juda..
Chaahe door tha main.. yaa paas rahaa

Uss din tu haan udaas rahe
tujhe jis din hum na dikhe na miley
Uss din tu chup-chaap rahe
tujhe jis din kuch na kahe na suney
Main hoon bann chuka, jeene ki ik wajah
Iss baat ko khud se tu na chupaa..
Tu Har Lamha.. tha mujhse juda..
Chaahe door tha main.. yaa paas rahaa

Lab se bhale tu kuch na kahe
Tere dil mein hum hi toh base yaa rahe
Saansein teri iqraar kare
Tera haath agar chhulein, pakde
Teri khwahishein kar bhi de tu bayaan
Yehi waqt hai inke izhaar ka..
Tu Har Lamha.. tha mujhse juda..
Chaahe door tha main.. yaa paas rahaa

Khamoshiyan Lyrics (Title Song) by Arijit Singh

Khamoshiyan aawaaz hain
Khamoshiyan aawaaz hain

Arijit Singh’s Khamoshiyan Lyrics:

Singer: Arijit Singh
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Rashmi Singh
Starring: Ali Fazal, Sapna Pabbi, Gurmeet Choudhary
Music On: Sony Music India

Khamoshiyan Lyrics

Khamoshiyan aawaaz hain
Tum sun’ne to aao kabhi
Chhukar tumhe khill jaayengi
Ghar inko bulaao kabhi
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
Jahaan se zamaane ko guzre zamaana hua
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua

Khamoshiyan ek saaz hai
Tum dhun koi laao zaraa
Khamoshiyan alfaaz hain
Kabhi aa gunguna le zara
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa.. haa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan
Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki boondon ki hoti kahaan hai zubaan
Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan

Khamoshiyan aakaash hai
Tum udne toh aao zara
Khamoshiyan ehsaas hai
Tumhe mehsoos hoti hai kya
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zara.. haa..

Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan

TUM HI HO LYRICS -AASHIQUI 2 Song by Arijit Singh

tum hi ho
tum hi ho

Tum Hi Ho lyrics from Aashiqui 2:

Singer: Arijit Singh
Music/Lyrics: Mithoon
Star Cast: Aditya Roy Kapoor, Shraddha Kapoor
Music Label: T-Series

Tum Hi Ho Lyrics

Hum tere bin ab reh nahi sakte
Tere bina kya wajood mera (x2)

Tujhse juda gar ho jaayenge
Toh khud se hi ho jaayenge judaa

Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Tera mera rishta hai kaisa
Ik pal door gawara nahi
Tere liye har roz hai jeete
Tujh ko diya mera waqt sabhi
Koi lamha mera na ho tere bina
Har saans pe naam tera

Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Tumhi ho… Tumhi ho…
Tere liye hi jiya main
Khud ko jo yun de diya hai
Teri wafa ne mujhko sambhala
Saare ghamon ko dil se nikala
Tere saath mera hai naseeb juda
Tujhe paake adhoora naa raha hmm..

Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho..
Chain bhi, mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho (x2)

Baatein Ye Kabhi Na Lyrics- Khamoshiyan by Arijit Singh

Baatein Ye Kabhi Na Tu Bhoolna Lyrics from Khamoshiyan by Arijit Singh:

baatein ye kabhi na lyrics
baatein ye kabhi na lyrics

Singers: Arijit Singh (Male Version)

Female Version sung by: Palak Muchhal
Music: Jeet Gannguli
Lyrics: Sayeed Quadri
Music On: Sony Music India

Baatein Ye Kabhi Na Lyrics

Baatein ye kabhi na tu bhoolna
Koi tere khatir hai jee raha
Jaaye tu kahin, bhi ye sochna
Koi tere khatir hai jee raha
Tu jahaan jaaye mehfooz ho
Tu jahaan jaaye mehfooz ho
Dil mera maange bas ye duaa

Baatein ye kabhi na tu bhoolna
Koi tere khatir hai jee raha
Jaaye tu kahin, bhi ye sochna
Koi tere khatir hai jee raha

Humdard hai, humdum bhi hai
Tu saath hai toh zindagi
Tu jo kabhi door rahe
Ye humse ho jaaye ajnabi
Tujhse mohabbat karte hain jo
Tujhse mohabbat karte hain jo
Kaise kare hum usko bayaan

Baatein ye kabhi na tu bhulna
Koi tere khatir hai jee raha
Jaaye tu kahin, bhi ye sochna
Koi tere khatir hai jee rahaa

Jaagi bhi hai royi bhi hai
Aankhein ye raaton mein mere
Kyun har ghadi milke tujhe
Lagti rahe bas teri kami
Hum toh na samjhe tum hi kaho
Hum toh na samjhe tum hi kaho
Kyun tumko paake tumse juda

Baatein ye kabhi na tu bhoolna
Koi tere khatir hai jee rahaa
Jaaye tu kahin, bhi ye sochna
Koi tere khatir hai jee rahaa